Wednesday, 14 December 2016


Namak se zaika toh har pakwaan deta hai,
Pheekey mein bhi swaad aa jaaye to kya baat ho!

Kashmakash


Behayaee pe toh sab hi martey hai,
Jo sharm-o-haya pe koyi mar mitey toh kya baat ho!

Husn ko sawaar kar kisi ko bhi lubha logey,
Gar saadgi se lubha lo toh kya baat ho!

Lafzon se haal sab bayan kartey hai,
Khamoshi se haal-e-dil kehdo toh kya baat ho!

Kehtein hai mohabbat se har rishta kayam hai,
Nafrat mein mohabbat dhoond lo toh kya baat ho!

Jo lafz hoton se ho na paye bayaan,
Woh aakhon mein padh lo toh kya baat ho!

Andherey mein roshan toh har chirag hai,
Gar andheron ko hi roshan samajh lo toh kya baat ho!

Zakhmo se dard sab ko hota hai,
Dard hi mein sukoon mil jaaye toh kya baat ho!



No comments:

Post a Comment