Monday, 12 December 2016

Adhurey Sapnein


Raat ke sannato mein samet ti hun
Main roz apne adhurey sapno ko.
Jo kabhi din mein dekha karti thi-
Ke aise karungi, waisi banungi .
Par khwaab udaan bharney se pehle hi ruswa ho gaye.
Ab naye khwaab kahan se laoon?
Khwaab toh phir bhi naye dekh lungi
Magar who himmat, woh junoon kahan se laoon?
Kahan se laoon woh duniya badalne ka pagalpan?
Jab manzil tak pahunchney ki taqat hi nahi rahi?

No comments:

Post a Comment