Monday 12 December 2016

Unhein Kehna...


Nahin hum bewafaa unhein kehna ,
Usay kehna ke tanhayi mein aansoon hum ne bhi bahaaye hain,
Hum ne bhi judayi ka gum uthayaa hai,
Waadein na nibhaa sakey ye afsos hamein roz rulata hai.

Unhein kehna, ke har pal saath bitaaya, yaad hai hamein,
Unki choo-an ka ehsas, yaad hai hamein,
Band aankhon se mehsus kar saktey hai hum
Ab bhi unki maujoodgi, unhein kehna!

Khushi bhi hamari, unsey thi,
Aarmaan bhi hamare, unsey they.
Ab na jeeney ki chaah hai,
Na mausam ka hosh-o-hawaaz; unhein kehna,
Ke pehley se kayi zyada hamein unki zarurat hai !

No comments:

Post a Comment